Aaj kal har teesra shakhs motape ka shikar hai. Na sirf self-confidence kam hota hai, balki health problems bhi barhti hain. Is blog mein hum aapko batayenge 3 asaan aur gharelu totkay jo wazan kam karne mein madadgar hain.
✅ 1. Saunf, Ajwain aur Zeera ka Nuskha
Tayari ka tareeqa:
1 chamach saunf
1 chamach ajwain
1 chamach zeera
In teenon ko ek saath bhun kar powder bana lein.
Har subha khaali pait 1 glass garam pani ke saath 1 chhoti chamach lein.
📌 Yeh metabolism tez karta hai aur pet ki charbi kam karta hai.
---
✅ 2. Lemon aur Shahad Wala Garam Pani
Har subha uthte hi:
1 glass garam pani
1/2 nimbu ka ras
1 chamach shahad
In sab ko mix kar ke peena shuru karein.
📌 Yeh liver ko detox karta hai, aur fat burn mein madad karta hai.
---
✅ 3. Raat Ko Dahi Na Khayein + 30 Minute Walk
Kayi log raat ko dahi ya bhari khana khate hain. Raat ke khane mein halki cheezein lein, jaise:
Soup
Salad
Fruits
Aur dinner ke baad 30 minute halka walk zaroor karein.
📌 Raat ka bhoot zyada khana wazan ka sabse bara sabab hota hai.
✅ Nateeja (Conclusion):
Yeh 3 gharelu aur asaan totkay aapka wazan kam karne mein madadgar sabit ho sakte hain — magar sabr aur consistency zaroori hai.
Agar aapko ye tips pasand aayein to blog ko apne doston ke saath share karein aur comment mein batayein ke aap kaunsa totka try karenge.

Comments
Post a Comment